% % Contributor: David Windsor% Transliterator: David Windsor % Editor: Rajiv Shridhar % Date: 11/02/1996 % % ham, chhupe rustam hai.n qayaamat kii nazar rakhate hai.n zamii.n to kyaa hai aasmaa.n kii Kabar rakhate hai.n ham, chhupe rustam hai.n ... chhup na paae ko_ii tasviir, hamaare aage TuuT jaatii hai Kud shamashiir hamaare aage chal na paae ko_ii tadabiir hamaare aage sar jhukaatii hai har taqadiir hamaare aage raah kaa.nTo.n me.n banaa lete hai.n aasmaa.n sar pe uThaa lete hai.n ham agar taish me.n aae.n to aag paanii me.n lagaa dete hai.n hamaare dam se ye zamaanaa hai sharaab-o-jaam hai, maiKaanaa hai ham jahaa.n sar ko jhukaa de.n yaaro.n vahii.n kaabaa, vahii.n butaKaanaa hai ham inasaa.n hai.n, inasaa.n ke li_e dar pe sar rakhate hai.n zamii.n to kyaa hai aasmaa.n kii Kabar rakhate hai ham, chhupe rustam hai.n ... torii nazariyaa gaurii jaise ras kii nadii laharaae ek baar jo Duube in me.n pal-pal gotii khaae o shamaa ... pal-pal gotaa khaae nazar ye tiir bhii, talavaar bhii hai nazar inakaar bhii, iqaraar bhii hai nazar ye phuul bhii, Kaar bhii hai thal bhii, megh bhii, malahaar bhii hai nazar dil kii zubaan hotii hai motiyo.n kaa makaan hotii hai pyaar kaa imtehaan hotii hai zamii.n par aasmaan hotii hai nazar uTh jaae to duaa ban jaae agar jhuk jaae to hayaa ban jaae jo tirachhii ho to adaa ban jaae pa.De siidhii to qazaa ban jaae nazar ko_ii bhii ho ham sab pe nazar rakhate hai.n zamii.n to kyaa hai aasmaa.N kii Kabar rakhate hai.n ham chhupe rustam hai.n ... ham terii talaash me.n jaan-e-jahaa.n jiine kaa kyaa dastuur bane kabhii kais, kabhii farahaad kabhii Kaiyyaam, kabhii ma.nsuur bane kyaa-kyaa na bane ham tere li_e par, jo bhii bane, bharapuur bane naTakhaT ham naTavar, tere lie dar-dar ghuume, ban-ban bhaTake parabat pe ga_e, suulii pe cha.Dhe nit khaae muqaddar se jhaTa ke tere ghuu.NghaT paT kii salavaT me.n aT-aT ye more nainaa aTake jhaTapaT de hame.n darasan, ham to pyaase hai.n, terii kaalii laT ke o merii aarazuuu aa o merii justajuu aa zaraa tuu ruubaruu aa le hii jaae.Nge, uThaa ke bharii mahafil se tujhe churaa le.n aa.Nkh se kaajal vo hunar rakhate hai.n ham, chhupe rustam hai.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.